Saturday, June 4, 2011

BAL DIWAS BY SANTOSH GULATI

BAL DIWAS ---------Santosh Gulati
Lo chodah November aa gaya, Chacha Nehru ki yaad dila gaya.
Baccho ka manbhavan,  Bal Diwas phir aa gaya…1
Sir par topi, Achkan mein gulab sama gaya,
Moti ka voh ladla ,  Logon ko lubha gaya….2
Gandhi ji ki awaaj ne, Desh bhakt bana diya,
Apna sub kuch bhool kar, Watan par luta diya….3
Desh ko azad kara diya, Janta ne neta bana diya,
Lal kile par tiranga lahra diya, Jai Hind ka nara laga diya….4
Bharat ho shikhar par, Aisa mantra bana diya,
Aman ki sab bhasha bolein, Vaisa path pada diya…5
Asman mein dekho tara , Kaisa timtima raha,
Sadion tak na bhoolegi , Unki yeh dastan.6

2 comments: